vo hāzir ho ki ġhā.eb ho nihāñ yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
sarāsar raaz rāz-e-kun-fakāñ yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
tahayyur hai huzūrī meñ to betābī hai duurī meñ
musībat meñ ye jān-e-nā-tavāñ yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
tamannā kī tarah tark-e-tamannā bhī musībat hai
ye duniyā ik maqām-e-imtihāñ yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
vo aa kar bhī rulāte haiñ vo jā kar bhī rulāte haiñ
dil-e-nākām mashġhūl-e-fuġhāñ yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
uThāyā nāz-e-rahbar bhī junūñ bhī aazmā dekhā
magar barham nizām-e-kārvāñ yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
jo dil meñ daaġh raushan haiñ to ashk-e-ḳhūñ hai āñkhoñ meñ
ye manzar-e-gulsitāñ dar-gulsitāñ yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
rahī jo barq se mahfūz pāmāl-e-ḳhizāñ hogī
ġham-e-anjām-e-shāḳh-e-āshiyāñ yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
faqat kahne ko to hai kāmyābī aur nākāmī
mohabbat fātah-e-kaun-o-makāñ yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
sitam ho yā karam donoñ kā ham par shukr vājib hai
jo apnā mehrbāñ hai mehrbāñ yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
jo sun sakte ho tum sun lo nahīñ tāqat to ham chup haiñ
hameñ manzūr apnā imtihāñ yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
umīd-e-silsila-dar-silsila lutf-o-davām is meñ
bahār-e-umr-e-fānī jāvedāñ yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
ghaTā sāvan kī aur ai 'arsh' ilhāmāt kī bārish
zamīñ par aaj faiz-e-āsmāñ yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī