vo le ke hausla-e-azm-e-be-panāh chale
jo log hañste hue sū-e-qatl-gāh chale
ġharīb nikle rajaz-ḳhvāñ to ahl-e-dil ne kahā
karo salām ki himmat ke bādshāh chale
fareb khaa.e hue zulm o jaur insāñ ke
ḳhudā kī ḳhaas adālat ke dād-ḳhvāh chale
na bīm-e-marg na ḳhauf-e-ajal na ranj koī
ḳhushī se karte hue raqs kaj-kulāh chale
salīb o daar kī sab rahmatoñ ke pesh-e-nazar
vo tabarruk karte hue hirs-e-izz-o-jāh chale
zamāna chīḳh uThā sab kī aañkh bhar aa.ī
barā.e qatl jo maqtal ko be-gunāh chale
zamīn vaalo uTho uTh ke in ko sajda karo
vo le ke parcham-e-nau 'arsh' pā-e-gāh chale