tum na aao to nāma-bar hī sahī
mubtadā ho na ho ḳhabar hī sahī
is ke saa.e meñ dam to letā huuñ
shāḳh-e-ummīd be-samar hī sahī
dil kī niklī to hai bhaḌās zarā
aah be-gāna-e-asar hī sahī
aur to aap se na kuchh hogā
mehrbānī kī ik nazar hī sahī
chhoḌ vaa.iz riyā ko jaam uThā
ḳhair mumkin nahīñ to shar hī sahī
ek muddat se sun rahā hai jahāñ
dāstāñ merī muḳhtasar hī sahī
kyuuñ hai nā-mo'tabar karam un kā
zindagī dard-e-mo'atabar hī sahī
nūr-afzā hai yād-e-chehra-e-dost
raat furqat kī be-sahar hī sahī
hai yahī merā kāba-e-maqsūd
sajda karne ko terā dar hī sahī
roz minnat-kash-e-davā to na ho
zindagī ek dard-e-sar hī sahī
kuchh tumheñ bhī to rahm lāzim hai
merī fariyād be-asar hī sahī
'arsh' be-gāna-e-hunar to na rah
aib karne kā ik hunar hī sahī