Arsh Malsiyani

jis gham se dil ko rahat ho us gham ka mudawa kya mani

Arsh Malsiyani

Malsiyan, Punjab, India

1908-1979
jis ġham se dil ko rāhat ho us ġham kā mudāvā kyā ma.anī
jab fitrat tūfānī Thahrī sāhil kī tamannā kyā ma.anī
ishrat meñ rañj kī āmezish rāhat meñ alam kī ālā.ish
jab duniyā aisī duniyā hai phir duniyā duniyā kyā ma.anī
ḳhud shaiḳh-o-barahman mujrim haiñ ik kaam se donoñ pī na sake
saaqī kī buḳhl-pasandī par saaqī kā shikvā kyā ma.anī
jalvoñ kā to ye dastūr nahīñ pardoñ se kabhī bāhar aa.eñ
ai dīda-e-be-taufīq tirā ye zauq-e-tamāshā kyā ma.anī
iḳhlās-o-vafā ke sajdoñ kī jis dar par daad nahīñ miltī
ai ġhairat-e-dil ai azm-e-ḳhudī us dar par sajda kyā ma.anī
ai sāhib-e-naqd-o-nazar maanā insāñ kā nizām nahīñ achchhā
is kī islāh ke parde meñ allāh se jhagḌā kyā ma.anī
har-lahza fuzūñ ho josh-e-amal ye farz hai farz kī raah pe chal
tadbīr kā ye ronā kaisā taqdīr kā shikvā kyā ma.anī
maiḳhāne meñ tū ai vaa.iz ab talqīn ke kuchh uslūb badal
allāh kā banda banñe ko jannat kā sahārā kyā ma.anī
iz.hār-e-vafā lāzim hī sahī ai 'arsh' magar fariyādeñ kyuuñ
vo baat jo sab par zāhir hai us baat kā charchā kyā ma.anī
Top Urdushayar.com