ye duniyā hai use dār-ul-fitan kahnā hī paḌtā hai
yahāñ har rāhbar ko rāhzan kahnā hī paḌtā hai
vafūr-e-aql-e-insāñ se baḌhī insāñ-kushī itnī
vafūr-e-aql ko dīvāna-pan kahnā hī paḌtā hai
vo sahrā jis meñ kaT jaate haiñ din yād-e-bahārāñ se
bā-alfāz-e-digar us ko chaman kahnā hī paḌtā hai
gul-afshānī-e-guftār-e-mujāhid be-asar ho jab
to us ko qissa-e-dār-o-rasan kahnā hī paḌtā hai
yahāñ kitnoñ ke jī chhūTe yahāñ kitnoñ ke dam TuuTe
vafā kī raah ko himmat-shikan kahnā hī paḌtā hai