nairañgi-e-bahār-o-ḳhizāñ dekhte rahe
hairat se ham tilism-e-jahāñ dekhte rahe
pesh-e-nazar jahāñ ke rahī rahmat-e-ḳhudā
ham barhamī-e-husn-e-butāñ dekhte rahe
har gul hamārī aql pe hañstā rahā magar
ham fasl-e-gul meñ rañg-e-ḳhizāñ dekhte rahe
arz-e-niyāz-e-shauq kī achchhī milī ye daad
hañs kar vo mere ashk-e-ravāñ dekhte rahe
tai kar gayā junūñ mirā ik jast meñ unheñ
hairat se mujh ko kaun-o-makāñ dekhte rahe