sab dekhne vaale unheñ ġhash khaa.e hue haiñ
is par bhī ta.ajjub hai vo sharmā.e hue haiñ
ai jān-e-jahāñ ham ko zamāne se ġharaz kyā
jab kho ke zamāne ko tujhe paa.e hue haiñ
hairān huuñ kyuuñ mujh ko dikhā.ī nahīñ dete
suntā huuñ mirī bazm meñ vo aa.e hue haiñ
nisbat kī ye nisbat hai sharaf kā ye sharaf hai
tire haiñ agar ham tire Thukrā.e hue haiñ
hai dekhne vāloñ ko sambhalne kā ishārā
thoḌī sī naqāb aaj vo sarkā.e hue haiñ