Anees Ashfaq

kab ishq mein yaron ki pazirai hui hai

Anees Ashfaq

Lucknow, Uttar pradesh, India

1950
kab ishq meñ yāroñ kī pazīrā.ī huī hai
har kohkan o qais kī rusvā.ī huī hai
is koh ko maiñ ne hī tarāshā hai mirī jaan
tujh tak ye jū-e-shīr mirī laa.ī huī hai
is shahr meñ kyā chāñd chamaktā huā dekheñ
is shahr meñ har shakl to gahnā.ī huī hai
vo ishq kī zanjīr jo kaaTe nahīñ kaTtī
pairoñ meñ vo terī hī to pahnā.ī huī hai
ye taḳht-e-sabā ḳhil.at-e-gul kursi-e-mahtāb
sab tere liye anjuman-ārā.ī huī hai
jo tere ḳhazāne ke liye lauh-e-sharaf hai
vo mohr-e-javāhar mirī Thukrā.ī huī hai
shohra hai bahut jis kī tilāvat kā chaman meñ
vo āyat-e-gul merī hī paḌhvā.ī huī hai
thī jo na kisī shāna-e-yūsuf kī talabgār
vo zulf-e-zuleḳhā mirī saudā.ī huī hai
dekhā hai kisī āhū-e-ḳhush-chashm ko us ne
āñkhoñ meñ bahut us kī chamak aa.ī huī hai
Top Urdushayar.com