hamesha kisī imtihāñ meñ rahā
rahā bhī to kyā is jahāñ meñ rahā
na maiñ duur tak saath us ke gayā
na vo der tak ham-rahāñ meñ rahā
vo dariyā pe mujh ko bulātā rahā
magar maiñ saf-e-tishnagāñ meñ rahā
maiñ bujhne lagā to bahut der tak
ujālā charāg-e-ziyāñ meñ rahā
qafas yaad aayā parinde ko phir
bahut roz tak āshiyāñ meñ rahā
rahī der tak maut se guftugū
maiñ jab halqa-e-raftagāñ meñ rahā
na gul koī dil ke shajar par khilā
na koī samar shāḳh-e-jāñ meñ rahā
ye ḳhāna hamesha se vīrān hai
kahāñ koī dil ke makāñ meñ rahā