hai daaġh daaġh mirā dil magar malūl nahīñ
tamām umr kā ronā mujhe qubūl nahīñ
vo guftugū jo nigāhoñ se hotī rahtī hai
hadīs-e-nargis-e-mastāna hai fuzūl nahīñ
bahut se phuul haiñ dāman meñ aap ke lekin
jise ham apnā kaheñ aisā koī phuul nahīñ
vo ek but jise kahte haiñ shāhkār-e-jamīl
sanam-kade kā ḳhudā hai magar rasūl nahīñ
surāġh-e-jāda-e-manzil jo de gayā hai 'farīd'
hinā kā rañg hai vo rāste kī dhuul nahīñ