kuchh un kī jafā un kā sitam yaad nahīñ hai
ġhamgīn huuñ lekin koī ġham yaad nahīñ hai
dil-dāda-e-asnām hai fitrat mirī lekin
thā saath kabhī koī sanam yaad nahīñ hai
apnoñ kī ināyāt kā mamnūn huuñ aisā
ġhairoñ kā mujhe koī sitam yaad nahīñ hai
paayā hai nishāñ jab se tirī rāhguzar kā
kaisī hai rah-e-dair-o-haram yaad nahīñ hai
laayā hai kahāñ ye ġham-e-ayyām 'farīd' ab
baḳhshā thā kabhī us ne bhī ġham yaad nahīñ hai