zauq-e-parvāz meñ sābit huā sayyāroñ se
āsmāñ zer-e-zamīñ hai mirī yalġhāroñ se
kaise qātil haiñ jinheñ pās-e-vafā hai na jafā
qatl karte haiñ to aġhyār kī talvāroñ se
rah ke sāhil pe ho kis tarah kisī ko mālūm
kashtiyāñ kaise nikal aatī haiñ mañjdhāroñ se
gul hue jaate haiñ jalte hue derīna charāġh
ā.īna-ḳhānoñ kī girtī huī dīvāroñ se
ham mohabbat ko bas itnā hī samajhte haiñ 'farīd'
jū-e-shīr aa.ī hai bahtī huī kohsāroñ se