kis fikr kis ḳhayāl meñ khoyā huā sā hai
dil aaj terī yaad ko bhūlā huā sā hai
gulshan meñ is tarah se kab aa.ī thī fasl-e-gul
har phuul apnī shāḳh se TuuTā huā sā hai
chal chal ke thak gayā hai ki manzil nahīñ koī
kyuuñ vaqt ek moḌ pe Thahrā huā sā hai
kyā hādisa huā hai jahāñ meñ ki aaj phir
chehra har ek shaḳhs kā utrā huā sā hai
nazrāna tere husn ko kyā deñ ki apne paas
le de ke ek dil hai so TuuTā huā sā hai
pahle the jo bhī aaj magar kārobār-e-ishq
duniyā ke kārobār se miltā huā sā hai
lagtā hai us kī bātoñ se ye 'shahryār' bhī
yāroñ ke iltifāt kā maarā huā sā hai