Shahryar

aandhi ki zad mein sham-e-tamanna jalai jae

Shahryar

Bareilly, Uttar pradesh, India

1936-2012
āñdhī kī zad meñ sham-e-tamannā jalā.ī jaa.e
jis tarah bhī ho laaj junūñ kī bachā.ī jaa.e
be-āb o be-giyāh hai ye dil kā dasht bhī
ik nahr āñsuoñ kī yahāñ bhī bahā.ī jaa.e
aajiz haiñ apne tāla-e-bedār se bahut
har raat ham ko koī kahānī sunā.ī jaa.e
sab kuchh badal gayā hai magar log haiñ ba-zid
mahtāb hī meñ sūrat-e-jānāñ dikhā.ī jaa.e
kuchh sāġharoñ meñ zahr hai kuchh meñ sharāb hai
ye mas.ala hai tishnagī kis se bujhā.ī jaa.e
shahroñ kī sarhadoñ pe hai sahrāoñ kā hujūm
kyā mājrā hai aao ḳhabar to lagā.ī jaa.e
nāzil ho jism o ruuh pe jab be-hisī kā qahr
us vaqt dosto ye ġhazal gungunā.ī jaa.e
Top Urdushayar.com