siyāh raat nahīñ letī naam Dhalne kā
yahī to vaqt hai sūraj tire nikalne kā
yahāñ se guzre haiñ guzreñge ham se ahl-e-vafā
ye rāsta nahīñ parchhā.iyoñ ke chalne kā
kahīñ na sab ko samundar bahā ke le jaa.e
ye khel ḳhatm karo kashtiyāñ badalne kā
bigaḌ gayā jo ye naqsha havas ke hāthoñ se
to phir kisī ke sambhāle nahīñ sambhalne kā
zamīñ ne kar liyā kyā tīrgī se samjhautā
ḳhayāl chhoḌ chuke kyā charāġh jalne kā