aks ko qaid ki parchhā.īñ ko zanjīr kareñ
sā.at-e-hijr tujhe kaise jahāñgīr kareñ
paañv ke nīche koī shai hai zamīñ kī sūrat
chand din aur isī vahm kī tash.hīr kareñ
shahr-e-ummīd haqīqat meñ nahīñ ban saktā
to chalo us ko tasavvur hī meñ ta.amīr kareñ
ab to le de ke yahī kaam hai in āñkhoñ kā
jin ko dekhā nahīñ un ḳhvāboñ kī ta.abīr kareñ
ham meñ jur.at kī kamī kal kī tarah aaj bhī hai
tishnagī kis ke laboñ par tujhe tahrīr kareñ
umr kā baaqī safar karnā hai is shart ke saath
dhuup dekheñ to ise saa.e se ta.abīr kareñ