Shahryar

kahan tak waqt ke dariya ko hum Thahra hua dekhen

Shahryar

Bareilly, Uttar pradesh, India

1936-2012
kahāñ tak vaqt ke dariyā ko ham Thahrā huā dekheñ
ye hasrat hai ki in āñkhoñ se kuchh hotā huā dekheñ
bahut muddat huī ye aarzū karte hue ham ko
kabhī manzar kahīñ ham koī an-dekhā huā dekheñ
sukūt-e-shām se pahle kī manzil saḳht hotī hai
kaho logoñ se sūraj ko na yuuñ Dhaltā huā dekheñ
havā.eñ bādbāñ kholīñ lahū-āsār bārish ho
zamīn-e-saḳht tujh ko phūltā-phaltā huā dekheñ
dhueñ ke bādaloñ meñ chhup ga.e ujle makāñ saare
ye chāhā thā ki manzar shahr kā badlā huā dekheñ
hamārī be-hisī pe rone vaalā bhī nahīñ koī
chalo jaldī chalo phir shahr ko jaltā huā dekheñ
Top Urdushayar.com