terī sāñseñ mujh tak aate bādal ho jaa.eñ
mere jism ke saare ilāqe jal-thal ho jaa.eñ
hoñT-nadī sailāb kā mujh pe darvāza khole
ham ko mayassar aise bhī ik do pal ho jaa.eñ
dushman dhund hai kab se merī āñkhoñ ke darpai
hijr kī lambī kaalī rāteñ kājal ho jaa.eñ
umr kā lambā hissa kar ke dānā.ī ke naam
ham bhī ab ye soch rahe haiñ pāgal ho jaa.eñ