niklā hai chāñd shab kī pazīrā.ī ke liye
ye uzr kam hai anjuman-ārā.ī ke liye
thā bolnā to ho ga.e ḳhāmosh ham sabhī
kyā kuchh kiyā hai shohrat o rusvā.ī ke liye
pal bhar meñ kaise log badal jaate haiñ yahāñ
dekho ki ye mufīd hai bīnā.ī ke liye
sarsabz merī shāḳh-e-hunar kyuuñ nahīñ huī
ye mas.ala hai tere tamannā.ī ke liye
hai aaj ye gila ki akelā hai 'shahryār'
tarsoge kal hujūm meñ tanhā.ī ke liye