jo chāhtī duniyā hai vo mujh se nahīñ hogā
samjhautā koī ḳhvāb ke badle nahīñ hogā
ab raat kī dīvār ko Dhānā hai zarūrī
ye kaam magar mujh se akele nahīñ hogā
ḳhush-fahmī abhī tak thī yahī kār-e-junūñ meñ
jo maiñ nahīñ kar paayā kisī se nahīñ hogā
tadbīr na.ī soch koī ai dil-e-sāda
mā.il-ba-karam tujh pe vo aise nahīñ hogā
be-nām se ik ḳhauf se dil kyuuñ hai pareshāñ
jab tai hai ki kuchh vaqt se pahle nahīñ hogā