sabhī ko ġham hai samundar ke ḳhushk hone kā
ki khel ḳhatm huā kashtiyāñ Dubone kā
barahna-jism bagūloñ kā qatl hotā rahā
ḳhayāl bhī nahīñ aayā kisī ko rone kā
sila koī nahīñ parchhā.iyoñ kī puujā kā
ma.aal kuchh nahīñ ḳhvāboñ kī fasl bone kā
bichhaḌ ke tujh se mujhe ye gumān hotā hai
ki merī āñkheñ haiñ patthar kī jism sone kā
hujūm dekhtā huuñ jab to kaañp uThtā huuñ
agarche ḳhauf nahīñ ab kisī ke khone kā
ga.e the log to dīvār-e-qahqaha kī taraf
magar ye shor musalsal hai kaisā rone kā
mire vajūd pe nafrat kī gard jamtī rahī
milā na vaqt use āñsuoñ se dhone kā