dil meñ rakhtā hai na palkoñ pe biThātā hai mujhe
phir bhī ik shaḳhs meñ kyā kyā nazar aatā hai mujhe
raat kā vaqt hai sūraj hai mirā rāh-numā
der se duur se ye kaun bulātā hai mujhe
merī in āñkhoñ ko ḳhvāboñ se pashemānī hai
niiñd ke naam se jo haul sā aatā hai mujhe
terā munkir nahīñ ai vaqt magar dekhnā hai
bichhḌe logoñ se kahāñ kaise milātā hai mujhe
qissa-e-dard meñ ye baat kahāñ se aa.ī
maiñ bahut hañstā huuñ jab koī sunātā hai mujhe