be-tāb haiñ aur ishq kā da.avā nahīñ ham ko
āvāra haiñ aur dasht kā saudā nahīñ ham ko
ġhairoñ kī mohabbat pe yaqīñ aane lagā hai
yāroñ se agarche koī shikva nahīñ ham ko
nairañgī-e-dil hai ki taġhāful kā karishma
kyā baat hai jo terī tamannā nahīñ ham ko
yā tere alāva bhī kisī shai kī talab hai
yā apnī mohabbat pe bharosā nahīñ ham ko
yā tum bhī mudāvā-e-alam kar nahīñ sakte
yā chāragaro fikr-e-mudāvā nahīñ ham ko
yuuñ barhamī-e-kākul-e-imroz se ḳhush haiñ
jaise ki ḳhayāl-e-ruḳh-e-fardā nahīñ ham ko