tujh se bichhḌe haiñ to ab kis se milātī hai hameñ
zindagī dekhiye kyā rañg dikhātī hai hameñ
markaz-e-dīda-o-dil terā tasavvur thā kabhī
aaj is baat pe kitnī hañsī aatī hai hameñ
phir kahīñ ḳhvāb o haqīqat kā tasādum hogā
phir koī manzil-e-be-nām bulātī hai hameñ
dil meñ vo dard na āñkhoñ meñ vo tuġhyānī hai
jaane kis samt ye duniyā liye jaatī hai hameñ
gardish-e-vaqt kā kitnā baḌā ehsāñ hai ki aaj
ye zamīñ chāñd se behtar nazar aatī hai hameñ