bahte dariyāoñ meñ paanī kī kamī dekhnā hai
umr bhar mujh ko yahī tishna-labī dekhnā hai
rañj dil ko hai ki jī bhar ke nahīñ dekhā tujhe
ḳhauf is kā thā jo ā.inda kabhī dekhnā hai
shab kī tārīkī dar-e-ḳhvāb hamesha ko band
chand din ba.ad to duniyā meñ yahī dekhnā hai
ḳhuun ke qatroñ ne tūfān uThā rakkhā hai
ab rag-o-pai meñ mujhe barf jamī dekhnā hai
kis tarah reñgne lagte haiñ ye chalte hue log
yaaro kal dekhoge yā aaj abhī dekhnā hai