badlī huī duniyā kī nazar dekh rahe haiñ
phaltā huā nafrat kā shajar dekh rahe haiñ
bastī ke sulagte hue ghar dekh rahe haiñ
dil-doz manāzir haiñ magar dekh rahe haiñ
vo kar bhī chuke ġhair se iqrār-e-mohabbat
ham baiThe duāoñ meñ asar dekh rahe haiñ
hotī hai har ik phuul se gulzār kī zīnat
nādān haiñ jo nasl-e-shajar dekh rahe haiñ
ik roz na jal jaa.e kahīñ un kā nasheman
jo duur khaḌe raqs-e-sharar dekh rahe haiñ
manzil kī jinheñ dhun thī unheñ mil ga.ī manzil
jo baiTh rahe gard-e-safar dekh rahe haiñ
'afshāñ' mirī āñkhoñ meñ basī rahtī hai har-dam
vo shakl jise ahl-e-nazar dekh rahe haiñ