tū kahāñ hai tujh se ik nisbat thī merī zaat ko
kab se palkoñ par uThā.e phir rahā huuñ raat ko
mere hisse kī zamīñ banjar thī maiñ vāqif na thā
be-sabab ilzām maiñ detā rahā barsāt ko
kaisī bastī thī jahāñ par koī bhī aisā na thā
munkashif maiñ jis pe kartā apne dil kī baat ko
saarī duniyā ke masā.il yuuñ mujhe darpesh haiñ
terā ġham kaafī na ho jaise guzar-auqāt ko