kahne ko to har baat kahī tere muqābil
lekin vo fasāna jo mire dil pe raqam hai
mahrūmī kā ehsās mujhe kis liye hotā
hāsil hai jo mujh ko kahāñ duniyā ko baham hai
yā tujh se bichhaḌne kā nahīñ hausla mujh meñ
yā tere taġhāful meñ bhī andāz-e-karam hai
thoḌī sī jagah mujh ko bhī mil jaa.e kahīñ par
vahshat tire kūche meñ mire shahar se kam hai
ai ham-safaro TuuTe na sāñsoñ kā tasalsul
ye qāfila-e-shauq bahut tez-qadam hai