ye kyā huā ki tabī.at sambhaltī jaatī hai
tire baġhair bhī ye raat Dhaltī jaatī hai
us ik ufuq pe abhī tak hai e'tibār mujhe
magar nigāh-e-manāzir badaltī jaatī hai
chahār samt se gherā hai tez āñdhī ne
kisī charāġh kī lau phir bhī jaltī jaatī hai
maiñ apne jism kī sargoshiyoñ ko suntā huuñ
tire visāl kī saa.at nikaltī jaatī hai
ye dekho aa ga.ī mere zavāl kī manzil
maiñ ruk gayā mirī parchhā.īñ chaltī jaatī hai