khule jo aañkh kabhī dīdanī ye manzar haiñ
samundaroñ ke kināroñ pe ret ke ghar haiñ
na koī khiḌkī na darvāza vāpsī ke liye
makān-e-ḳhvāb meñ jaane ke saikḌoñ dar haiñ
gulāb Tahnī se TuuTā zamīn par na girā
karishme tez havā ke samajh se bāhar haiñ
koī baḌā hai na chhoTā sarāb sab kā hai
sabhī haiñ pyaas ke maare sabhī barābar haiñ
husain-ibn-e-alī karbalā ko jaate haiñ
magar ye log abhī tak gharoñ ke andar haiñ