zindagī jab bhī tirī bazm meñ laatī hai hameñ
ye zamīñ chāñd se behtar nazar aatī hai hameñ
surḳh phūloñ se mahak uThtī haiñ dil kī rāheñ
din Dhale yuuñ tirī āvāz bulātī hai hameñ
yaad terī kabhī dastak kabhī sargoshī se
raat ke pichhle-pahar roz jagātī hai hameñ
har mulāqāt kā anjām judā.ī kyuuñ hai
ab to har vaqt yahī baat satātī hai hameñ