gard ko kudūratoñ kī dho na paa.e ham
dil bahut udaas hai ki ro na paa.e ham
vajūd ke chahār samt regzār thā
kahīñ bhī ḳhvāhishoñ ke biij bo na paa.e ham
ruuh se to pahle din hī haar maan lī
bojh apne jism kā bhī Dho na paa.e ham
dasht meñ to ek ham the aur kuchh na thā
shahar ke hujūm meñ bhī kho na paa.e ham
ek ḳhvāb dekhne kī aarzū rahī
isī liye tamām umr so na paa.e ham