Arjumand Bano Afshan

hum hain aur zabt-e-fughan hai aaj-kal

Arjumand Bano Afshan

1962
ham haiñ aur zabt-e-fuġhāñ hai āj-kal
sabr kā phir imtihāñ hai āj-kal
ham se rūThā hai to phir kis se hai ḳhush
kis pe āḳhir mehrbāñ hai āj-kal
dil bhī pazhmurda hai āñkheñ muzmahil
yaad bas terī javāñ hai āj-kal
ek va.ade par miTā dī zindagī
ham sā dīvāna kahāñ hai āj-kal
ghir ga.e ham vaqt ke tūfān meñ
ai ġham-e-jānāñ kahāñ hai āj-kal
multafit gulchīñ haiñ na sayyād ḳhush
barq bhī nā-mehrbāñ hai āj-kal
ek to mushkil vafā ke marhale
aur phir dushman jahāñ hai āj-kal
dil shikasta ek 'afshāñ hī nahīñ
kaun hai jo naġhma-ḳhvāñ hai āj-kal
Top Urdushayar.com