āsmāñ kuchh bhī nahīñ ab tere karne ke liye
maiñ ne sab tayyāriyāñ kar lī haiñ marne ke liye
is bulandī ḳhauf se āzād ho us ne kahā
chāñd se jab bhī kahā nīche utarne ke liye
ab zamīñ kyuuñ tere naqshe se nahīñ haTtī nazar
rañg kyā koī bachā hai is meñ bharne ke liye
ye jagah hairat-sarā.e hai kahāñ thī ye ḳhabar
yūñhī aa niklā thā maiñ to sair karne ke liye
kitnā āsāñ lag rahā hai mujh ko aage kā safar
chhoḌ aayā pīchhe parchhā.īñ ko Darne ke liye