aañkh kī ye ek hasrat thī ki bas puurī huī
āñsuoñ meñ bhiig jaane kī havas puurī huī
aa rahī hai jism kī dīvār girne kī sadā
ik ajab ḳhvāhish thī jo ab ke baras puurī huī
is ḳhizāñ-āsār lamhe kī hikāyat hai yahī
ik gul-e-nā-āfrīda kī havas puurī huī
aag ke sho.aloñ se saarā shahr raushan ho gayā
ho mubārak ārzū-e-ḳhār-o-ḳhas puurī huī
kaisī dastak thī ki darvāze muqaffal ho ga.e
aur is ke saath rūdād-e-qafas puurī huī