ye kyā jagah hai dosto ye kaun sā dayār hai
had-e-nigāh tak jahāñ ġhubār hī ġhubār hai
har ek jism ruuh ke azaab se niDhāl hai
har ek aañkh shabnamī har ek dil figār hai
hameñ to apne dil kī dhaḌkanoñ pe bhī yaqīñ nahīñ
ḳhoshā vo log jin ko dūsroñ pe e'tibār hai
na jis kā naam hai koī na jis kī shakl hai koī
ik aisī shai kā kyuuñ hameñ azal se intizār hai