Arjumand Bano Afshan

ye shahr hai wo shahr ki jis mein hain be-wajh kaamyab chehre

Arjumand Bano Afshan

1962
ye shahr hai vo shahr ki jis meñ haiñ be-vaj.h kāmyāb chehre
yahāñ siyāsat kī āñdhiyoñ ne miTā diye māhtāb chehre
fareb khānā na ġham uThānā na un ke saa.e meñ muñh chhupānā
hazār kāñTe chhupā.e baiThe haiñ shoḳh rañgīñ gulāb chehre
koī bhī hamdam nahīñ hai sachchā koī bhī sāthī nahīñ hai muḳhlis
jinheñ tum apnā samajh rahe ho vahī haiñ ḳhāna-ḳharāb chehre
koī bhī ā.īna-rū nahīñ jo sadāqatoñ kī shabīh dikhā.e
ḳhushāmadoñ kī naqāb ne sab chhupā diye be-naqāb chehre
koī nayā dard sauñp deñge koī nayā zaḳhm Daal deñge
kiran kiran haiñ zahr meñ Duube haiñ zāhiran āftāb chehre
jo paḌh sako to ḳhulūs paḌh lo mirī nigāhoñ kī sādgī meñ
jahāñ meñ 'afshāñ' se log kam haiñ hoñ jin ke sachchī kitāb chehre
Top Urdushayar.com