hamārī aañkh meñ naqsha ye kis makān kā hai
yahāñ kā saarā ilāqa to āsmān kā hai
hameñ nikalnā paḌā raat ke jazīre se
ḳhatar agarche is ik faisle meñ jaan kā hai
ḳhabar nahīñ hai ki dariyā meñ kashtī-e-jāñ hai
muāhida jo havāoñ se bādbān kā hai
tamām shahr par ḳhāmoshiyāñ musallat haiñ
laboñ ko kholo ki ye vaqt imtihān kā hai
kahā hai us ne to guzregā jism se ho kar
yaqīn yuuñ hai vo pakkā bahut zabān kā hai