dām-e-ulfat se chhūTtī hī nahīñ
zindagī tujh ko bhūltī hī nahīñ
kitne tūfāñ uThā.e āñkhoñ ne
naav yādoñ kī Dūbtī hī nahīñ
tujh se milne kī tujh ko paane kī
koī tadbīr sūjhtī hī nahīñ
ek manzil pe ruk ga.ī hai hayāt
ye zamīñ jaise ghūmtī hī nahīñ
log sar phoḌ kar bhī dekh chuke
ġham kī dīvār TūTtī hī nahīñ