tere va.ade ko kabhī jhuuT nahīñ samjhūñgā
aaj kī raat bhī darvāza khulā rakkhūñgā
dekhne ke liye ik chehra bahut hotā hai
aañkh jab tak hai tujhe sirf tujhe dekhūñgā
merī tanhā.ī kī rusvā.ī kī manzil aa.ī
vasl ke lamhe se maiñ hijr kī shab badlūñgā
shaam hote hī khulī saḌkoñ kī yaad aatī hai
sochtā roz huuñ maiñ ghar se nahīñ niklūñgā
tā-ki mahfūz rahe mere qalam kī hurmat
sach mujhe likhnā hai maiñ husn ko sach likkhūñgā