pahle nahā.ī os meñ phir āñsuoñ meñ raat
yuuñ buuñd buuñd utrī hamāre gharoñ meñ raat
kuchh bhī dikhā.ī detā nahīñ duur duur tak
chubhtī hai sūiyoñ kī tarah jab ragoñ meñ raat
vo khurdurī chaTāneñ vo dariyā vo ābshār
sab kuchh sameT le ga.ī apne paroñ meñ raat
āñkhoñ ko sab kī niiñd bhī dī ḳhvāb bhī diye
ham ko shumār kartī rahī dushmanoñ meñ raat
be-samt manziloñ ne bulāyā hai phir hameñ
sannāTe phir bichhāne lagī rāstoñ meñ raat