tilism ḳhatm chalo āh-e-be-asar kā huā
vo dekho jism barhana har ik shajar kā huā
sunā.ūñ kaise ki sūraj kī zad meñ haiñ sab log
jo haal raat ko parchhā.iyoñ ke ghar kā huā
sadā ke saa.e meñ sannāToñ ko panāh milī
ajab ki shahr meñ charchā na is ḳhabar kā huā
ḳhalā kī dhund hī āñkhoñ pe mehrbān rahī
harīf koī ufuq kab mirī nazar kā huā
maiñ sochtā huuñ magar yaad kuchh nahīñ aatā
ki iḳhtitām kahāñ ḳhvāb ke safar kā huā