nahīñ rok sakoge jism kī in parvāzoñ ko
baḌī bhuul huī jo chheḌ diyā ka.ī sāzoñ ko
koī nayā makīn nahīñ aayā to hairat kyā
kabhī tum ne khulā chhoḌā hī nahīñ darvāzoñ ko
kabhī paar bhī kar pā.eñgī sukūt ke sahrā ko
darpesh hai kitnā aur safar āvāzoñ ko
mujhe kuchh logoñ kī rusvā.ī manzūr nahīñ
nahīñ aam kiyā jo maiñ ne apne rāzoñ ko
kahīñ ho na ga.ī ho zamīn parindoñ se ḳhālī
khule āsmān par dekhtā huuñ phir bāzoñ ko