maiñ ret kā mahal huuñ mire pāsbāñ daraḳht
siine pe rok lete haiñ sab āñdhiyāñ daraḳht
dekhe ga.e the jis ke tale do javāñ badan
logoñ ne TukḌe TukḌe kiyā vo javāñ daraḳht
DhūñDeñge ab parind kahāñ shaam ko panāh
jañgal kī aag khā ga.ī sab Dāliyāñ daraḳht
phaldār thā to gaañv use pūjtā rahā
sūkhā to qatl ho gayā vo be-zabāñ daraḳht
sūraj thā dukh kā sar pe ki thiiñ ġham kī bārisheñ
dasht-e-safar meñ mere bane sā.ebāñ daraḳht
kaisī havā chalī hai ki phir chīḳh chīḳh kar
sab ko sunā ga.e haiñ mirī dāstāñ daraḳht
sau baar mere jism ko chhū kar ga.ī bahār
phir bhī huuñ 'ashk' sūkhā huā nīm-jāñ daraḳht