Arjumand Bano Afshan

jo rah chalna hai KHud hi chun lo yahan koi rahbar nahin hai

Arjumand Bano Afshan

1962
jo raah chalnā hai ḳhud hī chun lo yahāñ koī rāhbar nahīñ hai
yahī haqīqat hai baat maano tumheñ abhī kuchh ḳhabar nahīñ hai
kisī ko sāda-dilī kā badla milā hī kab hai jo ab milegā
vafā bhī duniyā meñ ek shai hai magar vo ab mo'atabar nahīñ hai
na jaane kab ruḳh havā badal de bhaḌak uTheñ phir vo bujhte sho.ale
hirās hai vo fazā pe taarī kahīñ bhī mahfūz ghar nahīñ hai
jo chāhte haiñ chaman ko bāTeñ vo kaise bāTeñge fasl-e-gulshan
bahegā ġhunchoñ kā ḳhuun kitnā unheñ to is kā bhī Dar nahīñ hai
jo pusht pe vaar kar rahe haiñ kaho ki ab sāmne se aa.eñ
jise vo ġhāfil samajh rahe haiñ vo is qadar be-ḳhabar nahīñ hai
na kāmyābī milegī tum ko hameñ miTāne kī koshishoñ meñ
jhukegā jo zālimoñ ke aage vo haq-parastoñ kā sar nahīñ hai
jo bāñTte haiñ matā-e-hastī unheñ ye 'afshāñ zarā batā do
jo maiñ ne māñgā hai haq hai merā mujhe ye kahne meñ Dar nahīñ hai
Top Urdushayar.com