guzre the husain ibn-e-alī raat idhar se
ham meñ se magar koī bhī niklā nahīñ ghar se
is baat pe kis vāste hairān haiñ āñkheñ
patjhaḌ hī meñ hote haiñ judā patte shajar se
tū yuuñ hī pashemāñ hai sabab tū nahīñ is kā
niiñd aatī nahīñ ham ko kisī ḳhvāb ke Dar se
sunte haiñ bahut naam kabhī dekhte ham bhī
ai mauj-e-balā tujh ko guzarte hue sar se
thaknā hai Thaharnā hai bahar-hāl sabhī ko
jī apnā bhī bhar jā.egā ik roz safar se