nashāt-e-ġham bhī milā rañj-e-shād-mānī bhī
magar vo lamhe bahut muḳhtasar the faanī bhī
khulī hai aañkh kahāñ kaun moḌ hai yaaro
dayār-e-ḳhvāb kī baaqī nahīñ nishānī bhī
ragoñ meñ ret kī ik aur tah jamī dekho
ki pahle jaisī nahīñ ḳhuun meñ ravānī bhī
bhaTak rahe haiñ ta.āqub meñ ab sarāboñ ke
milā na jin ko samundar se buuñd paanī bhī
zamīñ bhī ham se bahut duur hotī jaatī hai
Darā rahī hai ḳhalāoñ kī be-karānī bhī
tavīl hone lagī haiñ isī liye rāteñ
ki log sunte sunāte nahīñ kahānī bhī