ye ik shajar ki jis pe na kāñTā na phuul hai
saa.e meñ us ke baiTh ke ronā fuzūl hai
rātoñ se raushnī kī talab haa.e sādgī
ḳhvāboñ meñ us kī diid kī ḳhū kaisī bhuul hai
hai un ke dam-qadam hī se kuchh ābrū-e-zīst
dāman meñ jin ke dasht-e-tamannā kī dhuul hai
sūraj kā qahr sirf barahna saroñ pe hai
pūchho havas-parast se vo kyuuñ malūl hai
aao havā ke haath kī talvār chuum leñ
ab buz-diloñ kī fauj se laḌnā fuzūl hai