mash.al-e-dard phir ek baar jalā lī jaa.e
jashn ho jaa.e zarā dhuum machā lī jaa.e
ḳhuun meñ josh nahīñ aayā zamāna guzrā
dosto aao koī baat nikālī jaa.e
jaan bhī merī chalī jaa.e to kuchh baat nahīñ
vaar terā na magar ek bhī ḳhālī jaa.e
jo bhī milnā hai tire dar hī se milnā hai use
dar tirā chhoḌ ke kaise ye savālī jaa.e
vasl kī sub.h ke hone meñ hai kuchh der abhī
dāstāñ hijr kī kuchh aur baḌhā lī jaa.e