jab sitāroñ kī ridā kāñdhe se sarkātī hai raat
chāñd ke siine se lag kar nuur ban jaatī hai raat
ḳhud taḌap kar kis qadar mujh ko bhī taḌpātī hai raat
ashk-e-shabnam jab mirī hālat pe barsātī hai raat
ḳhūn-e-dil de kar ufuq rañgīn kar jaatī hai raat
raushnī hone se pahle qatl ho jaatī hai raat
sub.h-e-nau se kis liye is darja ghabrātī hai raat
dekh kar ḳhurshīd ko jaane kidhar jaatī hai raat
tīrgī-e-hijr ko had se baḌhā jaatī hai raat
aap ke aane se pahle kyuuñ chalī aatī hai raat
maiñ nazar ban jā.ūñ to tasvīr ban jaatī hai raat
un kī yādoñ ke diye kī lau baḌhā jaatī hai raat
din guzar jaatā hai 'afshāñ' mahfil-e-ahbāb meñ
qasr-e-tanhā.ī meñ chupke se chalī aatī hai raat